Sher
"azadiyon ke shauq o havas ne hamen 'adil' ik ajnabi zamin ka qaidi bana diya"
"ehsan-e-rab mohabbaten itni milin 'adil' is umr-e-mukhtasar men na lauTa sakenge ham"
احسان رب محبتیں اتنی ملیں عدیلؔ اس عمر مختصر میں نہ لوٹا سکیں گے ہم
एहसान-ए-रब मोहब्बतें इतनी मिलीं 'अदील' इस उम्र-ए-मुख़्तसर में न लौटा सकेंगे हम

"azadiyon ke shauq o havas ne hamen 'adil' ik ajnabi zamin ka qaidi bana diya"
"jis ka sakin hai miri zaat men ab tak zinda phuul us qabr pe ja kar main chaDha.un kaise"
"mira dil TuuT jaane par miyan hairat bhala kaisi agar rasta badal jaa.e sitare TuuT jaate hain"
"mujhe to lagta hai jaise ye ka.enat tamam hai bazgasht yaqinan sada kisi ki nahin"
"tu mujh se duur chali jaa.e ain mumkin hai magar vo aks jo meri nazar men rahta hai"
"tujh se juda hue to ye ho ja.enge juda baaqi kahan rahenge ye saa.e tire baghair"