Sher
"phir nahin mere siva koi bhi hota tera tu agar jaan ye jaata ki mohabbat kya hai"
"main ne ik baar mohabbat se na dekha us ko jis ne har baar mohabbat se mujhe dekha hai"
میں نے اک بار محبت سے نہ دیکھا اس کو جس نے ہر بار محبت سے مجھے دیکھا ہے
मैं ने इक बार मोहब्बत से न देखा उस को जिस ने हर बार मोहब्बत से मुझे देखा है

"phir nahin mere siva koi bhi hota tera tu agar jaan ye jaata ki mohabbat kya hai"
"TuTega aap ka dil khadsha hai ye mujhe zinhar mujh se nisbat rakhiye na aap bhi"
"jise ek par ek dhoka mila ho vo kaise kisi par bharosa karega"
"ik musalsal dhaDak phir yakayak sukun un ke dekhe se dil ka 'ajab haal hai"
"'ishq ki intiha men ye jaana saari mushkil hi ibtida ki hai"
"zindagi Dhote hue log kahan tak jaa.en koi is sang-e-garan se nahin bach paaya hai"