Sher
"dasht o junun ka silsila mere lahu men aa gaya ye kis jagah pe main tumhari justuju men aa gaya"
"koi to dasht samundar men Dhal gaya akhir kisi ke hijr men ro ro ke bhar gaya tha main"
کوئی تو دشت سمندر میں ڈھل گیا آخر کسی کے ہجر میں رو رو کے بھر گیا تھا میں
कोई तो दश्त समुंदर में ढल गया आख़िर किसी के हिज्र में रो रो के भर गया था मैं

"dasht o junun ka silsila mere lahu men aa gaya ye kis jagah pe main tumhari justuju men aa gaya"
"ye bhi tiri shikast nahin hai to aur kya jaisa tu chahta tha main vaisa nahin bana"
"tu jo ye jaan hatheli pe liye phirta hai tera kirdar kahani se nikal sakta hai"
"mahakte phuul sitare damakta chand dhanak tire jamal se kitnon ne istifada kya"
"ye bhi ejaaz mujhe ishq ne bakhsha tha kabhi us ki avaz se main diip jala sakta tha"
"bas chand lamhe pesh-tar vo paanv dho ke palTa hai aur nuur ka sailab sa is aabju men aa gaya"