Sher
"har ek baat ke yuun to diye javab us ne jo khaas baat thi har baar hans ke Taal gaya"
"dil ke sunsan jaziron ki khabar la.ega dard pahlu se juda ho ke kahan ja.ega"
دل کے سنسان جزیروں کی خبر لائے گا درد پہلو سے جدا ہو کے کہاں جائے گا
दिल के सुनसान जज़ीरों की ख़बर लाएगा दर्द पहलू से जुदा हो के कहाँ जाएगा

"har ek baat ke yuun to diye javab us ne jo khaas baat thi har baar hans ke Taal gaya"
"main to masjid se chala tha kisi ka.aba ki taraf dukh to ye hai ki ibadat miri bad-nam hui"
"kahin ye apni mohabbat ki intiha to nahin bahut dinon se tiri yaad bhi nahin aa.i"
"mire habib miri muskurahaTon pe na ja khuda-gavah mujhe aaj bhi tira gham hai"
"zindagi ke vo kisi moD pe gaahe gaahe mil to jaate hain mulaqat kahan hoti hai"
"ab na ka.aba ki tamanna na kisi but ki havas ab to zinda huun kisi markaz-e-insan ke liye"