Sher
"aas pe teri bikhra deta huun kamre ki sab chizen aas bikharne par sab chizen khud hi uTha ke rakhta huun"
"mere saath su-e-junun chal mire zakhm kha mira raqs kar mere sher paDh ke milega kya pata paDh ke ghar koi pa saka?"
میرے ساتھ سوئے جنون چل مرے زخم کھا مرا رقص کر میرے شعر پڑھ کے ملے گا کیا پتا پڑھ کے گھر کوئی پا سکا؟
मेरे साथ सु-ए-जुनून चल मिरे ज़ख़्म खा मिरा रक़्स कर मेरे शेर पढ़ के मिलेगा क्या पता पढ़ के घर कोई पा सका?

"aas pe teri bikhra deta huun kamre ki sab chizen aas bikharne par sab chizen khud hi uTha ke rakhta huun"
"kabhi khauf tha tire hijr ka kabhi aarzu ke zaval ka raha hijr-o-vasl ke darmiyan tujhe kho saka na main pa saka"
"dil to saada hai teri har baat ko sachcha manta hai aql ne baten karte tera aankh churana dekha hai"
"har ek sub.h vazu karti hain miri ankhen ki shayad aaj to aa jaa.e vo habib nazar"
"kya kya na paDha is maktab men, kitne hi hunar sikhe hain yahan iz.har kabhi ankhon se kiya kabhi had se siva bebak hua"
"jis din se gaya vo jan-e-ghazal har misre ki surat bigDi har lafz pareshan dikhta hai, is darja varaq namnak hua"