Sher
"fareb-khurda hai itna ki mere dil ko abhi tum aa chuke ho magar intizar baaqi hai"
"mujh ko manzur nahin ishq ko rusva karna hai jigar chaak magar lab pe hansi hai ai dost"
مجھ کو منظور نہیں عشق کو رسوا کرنا ہے جگر چاک مگر لب پہ ہنسی ہے اے دوست
मुझ को मंज़ूर नहीं इश्क़ को रुस्वा करना है जिगर चाक मगर लब पे हँसी है ऐ दोस्त

"fareb-khurda hai itna ki mere dil ko abhi tum aa chuke ho magar intizar baaqi hai"
"iqrar-e-mohabbat to baDi baat hai lekin inkar-e-mohabbat ki ada aur hi kuchh hai"
"mere kirdar men muzmar hai tumhara kirdar dekh kar kyuun miri tasvir khafa ho tum log"
"mire dil pe haath rakh kar mujhe dene vaale taskin kahin dil ki dhaDkanon se tujhe choT aa na jaa.e"
"ajiib uljhan men tu ne Daala mujhe bhi ai gardish-e-zamana sukun milta nahin qafas men na raas aata hai ashiyana"
"ek hi anjam hai ai dost husn o ishq ka sham.a bhi bujhti hai parvanon ke jal jaane ke ba.ad"