Sher
"ada-e-ishq huun puuri ana ke saath huun main khud apne saath huun ya.ani khuda ke saath huun main"
"asr ke vaqt mere paas na baiTh mujh pe ik sanvli ka saaya hai"
عصر کے وقت میرے پاس نہ بیٹھ مجھ پہ اک سانولی کا سایہ ہے
अस्र के वक़्त मेरे पास न बैठ मुझ पे इक साँवली का साया है

"ada-e-ishq huun puuri ana ke saath huun main khud apne saath huun ya.ani khuda ke saath huun main"
"sukut-e-sham ka hissa tu mat bana mujh ko main rang huun so kisi mauj men mila mujh ko"
"main paanv dho ke piyun yaar ban ke jo aa.e munafiqon ko to main munh lagane vaala nahin"
"laDne ke liye hai na nasihat ke liye hai jis 'umr men tum ho vo mohabbat ke liye hai"
"va'iz main koi chor huun jo tujh se dabunga munh toD ke rakh dunga agar talkh hua tu"
"baat bhi kijiye dekh bhi lijiye dekh bhi lijiye baat bhi kijiye"