Sher
"main aa.ina tha chhupata kisi ko kya rahat vo dekhta mujhe jab bhi khafa to hona tha"
"zaat ke parde se bahar aa ke bhi tanha rahun main agar huun ajnabi to mere ghar men kaun hai"
ذات کے پردے سے باہر آ کے بھی تنہا رہوں میں اگر ہوں اجنبی تو میرے گھر میں کون ہے
ज़ात के पर्दे से बाहर आ के भी तन्हा रहूँ मैं अगर हूँ अजनबी तो मेरे घर में कौन है

"main aa.ina tha chhupata kisi ko kya rahat vo dekhta mujhe jab bhi khafa to hona tha"
"ham ek jaan hi sahi dil to apne apne the kahin kahin se fasana juda to hona tha"
"kis tarah ujDe sulagti hui yadon ke diye hamdamo dil ke qarib aao ruko aur suno"
"ab anasir men tavazun DhunDne jaa.en kahan ham jise hamraz samjhe pasban nikla tira"
"shor karta phir raha huun khushk patton ki tarah koi to puchhe ki shahr-e-be-khabar men kaun hai"
"raat ke pichhle pahar dhyan tira koi saa.e men khaDa ho jaise"