Sher
"vasl ka din aur itna mukhtasar din gine jaate the is din ke liye"
"kahte ho ki hamdard kisi ka nahin sunte main ne to raqibon se suna aur hi kuchh hai"
کہتے ہو کہ ہم درد کسی کا نہیں سنتے میں نے تو رقیبوں سے سنا اور ہی کچھ ہے
कहते हो कि हमदर्द किसी का नहीं सुनते मैं ने तो रक़ीबों से सुना और ही कुछ है

"vasl ka din aur itna mukhtasar din gine jaate the is din ke liye"
"kashtiyan sab ki kinare pe pahunch jaati hain nakhuda jin ka nahin un ka khuda hota hai"
"gaahe gaahe ki mulaqat hi achchhi hai 'amir' qadr kho deta hai har roz ka aana jaana"
"aafat to hai vo naaz bhi andaz bhi lekin marta huun main jis par vo ada aur hi kuchh hai"
"maang luun tujh se tujhi ko ki sabhi kuchh mil jaa.e sau savalon se yahi ek saval achchha hai"
"sha.er ko mast karti hai tarif-e-sher 'amir' sau botalon ka nashsha hai is vaah vaah men"