Sher
"raten saari karvaT men hi biit rahin yaden bhi kitni bechaini deti hain"
"hijr ke baa'd ye socho ki kahan jaoge ham to mar ja.enge vaise bhi hamara kya hai"
ہجر کے بعد یہ سوچو کہ کہاں جاؤ گے ہم تو مر جائیں گے ویسے بھی ہمارا کیا ہے
हिज्र के बा'द ये सोचो कि कहाँ जाओगे हम तो मर जाएँगे वैसे भी हमारा क्या है

"raten saari karvaT men hi biit rahin yaden bhi kitni bechaini deti hain"
"soch raha huun main is ka sauda kar duun us ki yadon ka jo dil men malba hai"
"lagaya hai dil bhi to patthar se main ne miri zindagi ki yahi ik khata hai"
"khvab men us se roz mila karta tha 'mit' lekin sach men nahin mila so zinda huun"
"shor-sharaba rahta tha jis angan men aaj vahan se bas khamoshi nikli hai"
"main kahani men naya moD bhi la sakta tha main ne kirdar ko aansu men bhigoya hi nahin"