Sher
"sach ye hai ham hi mohabbat ka sabaq paDh na sake varna an-paDh to na the ham ko paDhane vaale"
"roz uTh jaati hai ghar men koi divar na.i is tarah tang hua jaata hai angan apna"
روز اٹھ جاتی ہے گھر میں کوئی دیوار نئی اس طرح تنگ ہوا جاتا ہے آنگن اپنا
रोज़ उठ जाती है घर में कोई दीवार नई इस तरह तंग हुआ जाता है आँगन अपना

"sach ye hai ham hi mohabbat ka sabaq paDh na sake varna an-paDh to na the ham ko paDhane vaale"
"shahr ki galiyon aur saDkon par phirte hain mayusi men kaash koi 'anvar' se puchhe aise be-ghar kitne hain"
"daman pe to har ek ke chhiTen hain khuun ki ab kis se puchhiye ki gunahgar kaun hai"
"hai taqaza-e-tahzib 'anvar' mat kaho vo ki jo munh men aa.e"
"bahut asan hai mushtarka dilon men tafriq baat to jab hai ki bichhDon ko milaya jaa.e"
"ham se vafa-shi.ar ko bhi tere ru-ba-ru khani paDi vafa ki qasam tere shahr men"