Sher
"nichi nazron se kar diya ghayal ab ye samjhe ki ye haya kya hai"
A
Anwar Saharanpuri"muqaddar se mire donon ke donon bevafa nikle na umr-e-bevafa palTi na phir ja kar shabab aaya"
مقدر سے مرے دونوں کے دونوں بے وفا نکلے نہ عمر بے وفا پلٹی نہ پھر جا کر شباب آیا
मुक़द्दर से मिरे दोनों के दोनों बेवफ़ा निकले न उम्र-ए-बेवफ़ा पलटी न फिर जा कर शबाब आया
"nichi nazron se kar diya ghayal ab ye samjhe ki ye haya kya hai"
"shayad niyaz-mand ko hasil niyaz ho hasrat se tak raha huun tiri rahguzar ko main"
"jalva-e-yar dekh kar tuur pe ghash hue kalim aql-o-khirad ka kaam kya mahfil-e-husn-o-naz men"
"vo taaza dastan huun marne ke baa'd un ko aa.ega yaad mera afsana zindagi ka"
"jab fasl-e-baharan aati hai shadab gulistan hote hain takmil-e-junun bhi hoti hai aur chaak gareban hote hain"