Sher
"talkhiyan khun-e-jigar ki sha'iri men ghol kar chand misre' laa.en hain ham bhi sunane ke liye"
"sar qalam kar de sitamgar dast-o-bazu kaaT de be-takalluf haq-ba-janib baat honi chahiye"
سر قلم کر دے ستم گر دست و بازو کاٹ دے بے تکلف حق بہ جانب بات ہونی چاہئے
सर क़लम कर दे सितमगर दस्त-ओ-बाज़ू काट दे बे-तकल्लुफ़ हक़-ब-जानिब बात होनी चाहिए

"talkhiyan khun-e-jigar ki sha'iri men ghol kar chand misre' laa.en hain ham bhi sunane ke liye"
"na.e mizaj ke logon ko kis liye akhir qadim taur-tariqon ke bas men rahna paDa"
"kuchh lutf is tarah hai musalsal safar ke saath manzil bhi samne ho to rasta na paa.e dil"
"nazar to pher mire kaghazi badan ki taraf abhi ye zarb-e-musalsal se tar-tar nahin"
"khar-zaron se marasim ke sabab phulon ko dil ne chaha bhi to ruk kar nahin dekha ham ne"
"kar li hai mohabbat to khata kyon nahin karte jab aag laga li hai to jal kyon nahin jaate"