Sher
"aah kya kya arzuen nazr-e-hirman ho ga.iin roiye kis kis ko aur kis kis ka matam kijiye"
"ai fana TuuT sakegi na kabhi kashti-e-umr main kisi aur samundar men utar ja.unga"
اے فنا ٹوٹ سکے گی نہ کبھی کشتی عمر میں کسی اور سمندر میں اتر جاؤں گا
ऐ फ़ना टूट सकेगी न कभी कश्ती-ए-उम्र मैं किसी और समुंदर में उतर जाऊँगा

"aah kya kya arzuen nazr-e-hirman ho ga.iin roiye kis kis ko aur kis kis ka matam kijiye"
"tumhari yaad men duniya ko huun bhula.e hue tumhare dard ko siine se huun laga.e hue"
"tere shabab ne kiya mujh ko junun se ashna mere junun ne bhar diye rang tiri shabab men"
"jis husn ki hai chashm-e-tamanna ko justuju vo aftab men hai na hai mahtab men"
"ilahi kashti-e-dil bah rahi hai kis samundar men nikal aati hain maujen ham jise sahil samajhte hain"
"saari duniya se be-niyazi hai vaah ai mast-e-naz kya kahna"