Sher
"dukh safar ka hai ki apnon se bichhaD jaane ka gham kya sabab hai vaqt-e-rukhsat ham-safar khamosh hain"
"ajab hairat hai akasr dekhta hai mere chehre ko ye kis na-ashna ka aa.ine men aks rahta hai"
عجب حیرت ہے اکثر دیکھتا ہے میرے چہرے کو یہ کس نا آشنا کا آئنے میں عکس رہتا ہے
अजब हैरत है अक्सर देखता है मेरे चेहरे को ये किस ना-आश्ना का आइने में अक्स रहता है

"dukh safar ka hai ki apnon se bichhaD jaane ka gham kya sabab hai vaqt-e-rukhsat ham-safar khamosh hain"
"khvab muTThi men liye phirte hain sahra sahra ham vahi log hain jo dhuup ke par kaTte hain"
"dil kuchh der machalta hai phir yadon men yuun kho jaata hai jaise koi ziddi bachcha rote rote so jaata hai"
"kal shajar ki guftugu sunte the aur hairat men the ab parinde bolte hain aur shajar khamosh hain"
"phir ret ke dariya pe koi pyasa musafir likhta hai vahi ek kahani ka.i din se"
"kinaron se juda hota nahin tughyaniyon ka dukh na.i maujon men rahta hai purane paniyon ka dukh"