Sher
"jo baat dil men thi us se nahin kahi ham ne vafa ke naam se vo bhi fareb kha jaata"
"gham-e-hayat o gham-e-dost ki kashakash men ham aise log to ranj-o-malal se bhi ga.e"
غم حیات و غم دوست کی کشاکش میں ہم ایسے لوگ تو رنج و ملال سے بھی گئے
ग़म-ए-हयात ओ ग़म-ए-दोस्त की कशाकश में हम ऐसे लोग तो रंज-ओ-मलाल से भी गए

"jo baat dil men thi us se nahin kahi ham ne vafa ke naam se vo bhi fareb kha jaata"
"gahre surkh gulab ka andha bulbul saanp ko kya dekhega paas hi ugti nag-phani thi saare phuul vahin milte hain"
"khuda ka shukr hai tu ne bhi maan li miri baat rafu purane dukhon par nahin kiya jaata"
"kuchh ab ke ham bhi kahen us ki dastan-e-visal magar vo zulf-e-pareshan khule to baat chale"
"khalal-pazir hua rabt-e-mehr-o-mah men vaqt bata ye tujh se juda.i ka vaqt hai ki nahin"
"narmi hava ki mauj-e-tarab-khez abhi se hai ai ham-safir atish-e-gul tez abhi se hai"