Sher
"us ne sun kar baat meri Taal di uljhanon men aur uljhan Daal di"
"dard sahne ke liye sadme uThane ke liye un se dil apna mujhe vapas talab karna paDa"
درد سہنے کے لئے صدمے اٹھانے کے لئے ان سے دل اپنا مجھے واپس طلب کرنا پڑا
दर्द सहने के लिए सदमे उठाने के लिए उन से दिल अपना मुझे वापस तलब करना पड़ा

"us ne sun kar baat meri Taal di uljhanon men aur uljhan Daal di"
"husn hai dad-e-khuda ishq hai imdad-e-khuda ghair ka dakhl nahin bakht hai apna apna"
"duniya ki ravish dekhi tiri zulf-e-dota men banti hai ye mushkil se bigaDti hai zara men"
"ayaan ya nihan ik nazar dekh lete kisi surat un ko magar dekh lete"
"mushkil hai imtiyaz-e-azab-o-savab men piita huun main sharab mila kar gulab men"
"dhaDakte hue dil ke ham-rah mere miri nabz bhi chara-gar dekh lete"