Sher
"us ne sun kar baat meri Taal di uljhanon men aur uljhan Daal di"
"ham ko sambhalta koi kya rah-e-ishq men kha kha ke Thokaren hamin akhir sambhal ga.e"
ہم کو سنبھالتا کوئی کیا راہ عشق میں کھا کھا کے ٹھوکریں ہمیں آخر سنبھل گئے
हम को सँभालता कोई क्या राह-ए-इश्क़ में खा खा के ठोकरें हमीं आख़िर सँभल गए

"us ne sun kar baat meri Taal di uljhanon men aur uljhan Daal di"
"husn hai dad-e-khuda ishq hai imdad-e-khuda ghair ka dakhl nahin bakht hai apna apna"
"duniya ki ravish dekhi tiri zulf-e-dota men banti hai ye mushkil se bigaDti hai zara men"
"ayaan ya nihan ik nazar dekh lete kisi surat un ko magar dekh lete"
"mushkil hai imtiyaz-e-azab-o-savab men piita huun main sharab mila kar gulab men"
"dhaDakte hue dil ke ham-rah mere miri nabz bhi chara-gar dekh lete"