Sher
"chaar samten a.ina si har taraf tum ko kho dene ka manzar aur main"
"rang apne jo the bhar bhi kahan paa.e kabhi ham ham ne to sada radd-e-amal men hi basar ki"
رنگ اپنے جو تھے بھر بھی کہاں پائے کبھی ہم ہم نے تو سدا رد عمل میں ہی بسر کی
रंग अपने जो थे भर भी कहाँ पाए कभी हम हम ने तो सदा रद्द-ए-अमल में ही बसर की

"chaar samten a.ina si har taraf tum ko kho dene ka manzar aur main"
"zamin ke aur taqaze falak kuchh aur kahe qalam bhi chup hai ki ab moD le kahani kya"
"us ne mere naam suraj chand taare likh diya mera dil miTTi pe rakh apne lab rota raha"
"simaT ga.i to shabnam phuul sitara thi biphar ke meri lahar lahar angara thi"