Sher
"dilon men talkhiyan phir bhi nazar men muskurahaT ho bala ke habs men bhi ho hava aisa bhi hota hai"
"badalon ki aas us ke saath hi rukhsat hui shahr ko vo aag ki be-rahmiyan bhi de gaya"
بادلوں کی آس اس کے ساتھ ہی رخصت ہوئی شہر کو وہ آگ کی بے رحمیاں بھی دے گیا
बादलों की आस उस के साथ ही रुख़्सत हुई शहर को वो आग की बे-रहमियाँ भी दे गया

"dilon men talkhiyan phir bhi nazar men muskurahaT ho bala ke habs men bhi ho hava aisa bhi hota hai"
"agahi ne diye ib.ham ke dhoke kya kya sharh-e-alfaz jo likkhi to ishare likkhe"
"tujh ko paa.en tujhe kho baiThen phir zindagi ek thi Dar kitne the"
"lahu rulate hain aur phir bhi yaad aate hain mohabbaton ke purane nisab se kuchh hain"
"us raat ke mathe par ubhrenge sitare bhi ye khauf andheron ka shadab nahin rahna"
"main kaun huun ki hai sab kanch ka vajud mira mira libas bhi maila dikha.i deta hai"