Sher
"hamari zindagi to mukhtasar si ik kahani thi bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana"
"jo sunta huun sunta huun main apni khamoshi se jo kahti hai kahti hai mujh se miri khamoshi"
جو سنتا ہوں سنتا ہوں میں اپنی خموشی سے جو کہتی ہے کہتی ہے مجھ سے مری خاموشی
जो सुनता हूँ सुनता हूँ मैं अपनी ख़मोशी से जो कहती है कहती है मुझ से मिरी ख़ामोशी

"hamari zindagi to mukhtasar si ik kahani thi bhala ho maut ka jis ne bana rakkha hai afsana"
"us ko duniya aur na uqba chahiye qais laila ka hai laila chahiye"
"bedam ye mohabbat hai ya koi musibat hai jab dekhiye afsurda jab dekhiye jab maghmum"
"dene vaale tujhe dena hai to itna de de ki mujhe shikva-e-kotahi-e-daman ho jaa.e"
"ai junun kyuun liye jaata hai bayaban men mujhe jab tujhe aata hai ghar ko mire sahra karna"
"ab aadmi kuchh aur hamari nazar men hai jab se suna hai yaar libas-e-bashar men hai"