Sher
"ai dil ki khalish chal yunhi sahi chalta to huun un ki mahfil men us vaqt mujhe chaunka dena jab rang pe mahfil aa jaa.e"
"ai jazba-e-dil gar main chahun har chiiz muqabil aa jaa.e manzil ke liye do gaam chalun aur samne manzil aa jaa.e"
اے جذبۂ دل گر میں چاہوں ہر چیز مقابل آ جائے منزل کے لیے دو گام چلوں اور سامنے منزل آ جائے
ऐ जज़्बा-ए-दिल गर मैं चाहूँ हर चीज़ मुक़ाबिल आ जाए मंज़िल के लिए दो गाम चलूँ और सामने मंज़िल आ जाए

"ai dil ki khalish chal yunhi sahi chalta to huun un ki mahfil men us vaqt mujhe chaunka dena jab rang pe mahfil aa jaa.e"
"vafaon ke badle jafa kar rahe hain main kya kar raha huun vo kya kar rahe hain"
"zinda huun is tarah ki gham-e-zindagi nahin jalta hua diya huun magar raushni nahin"
"mujhe to hosh na tha un ki bazm men lekin khamoshiyon ne meri un se kuchh kalam kiya"
"ishq ka ejaaz sajdon men nihan rakhta huun main naqsh-e-pa hoti hai peshani jahan rakhta huun main"
"go muddaten hui hain kisi se juda hue lekin ye dil ki aag abhi tak bujhi nahin"