Sher
"sochta huun to aur baDhti hai zindagi hai ki pyaas hai koi"
"vaqt aur halat par kya tabsira kiije ki jab ek uljhan dusri uljhan ko suljhane lage"
وقت اور حالات پر کیا تبصرہ کیجے کہ جب ایک الجھن دوسری الجھن کو سلجھانے لگے
वक़्त और हालात पर क्या तब्सिरा कीजे कि जब एक उलझन दूसरी उलझन को सुलझाने लगे

"sochta huun to aur baDhti hai zindagi hai ki pyaas hai koi"
"kya usi ka naam hai ra.ana.i-e-bazm-e-hayat tang kamra sard bistar aur tanha aadmi"
"nazar men shokh shabihen liye hue hai sahar abhi na koi idhar se dhuan dhuan guzre"
"shahr men jurm-o-havadis is qadar hain aj-kal ab to ghar men baiTh kar bhi log ghabrane lage"
"insan ki duniya men insan hai pareshan kyuun machhli to nahin hoti bechain kabhi jal men"
"le gaya vo chhin kar meri javani us pe bas yunhi jhapaT kar rah gaya main"