Sher
"sitaron se shab-e-gham ka to daman jagmaga uThTha magar aansu baha kar hijr ke maron ne kya paaya"
"allah ke bandon ki hai duniya hi nirali kanTe koi bota hai to ugte hain gulistan"
اللہ کے بندوں کی ہے دنیا ہی نرالی کانٹے کوئی بوتا ہے تو اگتے ہیں گلستاں
अल्लाह के बंदों की है दुनिया ही निराली काँटे कोई बोता है तो उगते हैं गुलिस्ताँ

"sitaron se shab-e-gham ka to daman jagmaga uThTha magar aansu baha kar hijr ke maron ne kya paaya"
"nadim tarikh-e-fat.h-e-danish bas itna likh kar tamam kar de ki shatiran-e-jahan ne akhir khud apni chalon se maat khaa.i"
"mire nakhuda na ghabra ye nazar hai apni apni tire samne hai tufan mire samne kinara"
"yaqin mujhe bhi hai vo a.enge zarur magar vafa karegi kahan tak ki zindagi hi to hai"
"gham-e-ishq hi ne kaaTi gham-e-ishq ki musibat isi mauj ne Duboya isi mauj ne ubhara"
"miri zindagi ka mahvar yahi soz-o-saz-e-hasti kabhi jazb-e-valhana kabhi zabt-e-arifana"