Sher
"Thiik aa.i tan pe apne qaba-e-barahnagi baani libas chhoTe hue ya baDe hue"
"bahr-e-hasti sa koi dariya-e-be-payan nahin asman-e-nil-gun sa sabza-e-sahil kahan"
بحر ہستی سا کوئی دریائے بے پایاں نہیں آسمان نیلگوں سا سبزۂ ساحل کہاں
बहर-ए-हस्ती सा कोई दरिया-ए-बे-पायाँ नहीं आसमान-ए-नील-गूँ सा सब्ज़ा-ए-साहिल कहाँ

"Thiik aa.i tan pe apne qaba-e-barahnagi baani libas chhoTe hue ya baDe hue"
"id-e-nau-roz dil apna bhi kabhi khush karte yaar aghosh men khurshid hamal men hota"
"koi but-khane ko jaata hai koi ka.abe ko phir rahe gabr o musalman hain tiri ghaat men kya"
"vahshat-e-dil ne kiya hai vo bayaban paida saikDon kos nahin surat-e-insan paida"
"ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai"
"qad men to kar chuka tha vo ahmaq barabari majbur sarv ko tiri raftar ne kiya"