Sher
"Thiik aa.i tan pe apne qaba-e-barahnagi baani libas chhoTe hue ya baDe hue"
"chhuT-puTa vaqt hai bahta hua dariya Thahra sub.h se shaam hui dil na hamara Thahra"
چھٹ پٹا وقت ہے بہتا ہوا دریا ٹھہرا صبح سے شام ہوئی دل نہ ہمارا ٹھہرا
छुट-पुटा वक़्त है बहता हुआ दरिया ठहरा सुब्ह से शाम हुई दिल न हमारा ठहरा

"Thiik aa.i tan pe apne qaba-e-barahnagi baani libas chhoTe hue ya baDe hue"
"id-e-nau-roz dil apna bhi kabhi khush karte yaar aghosh men khurshid hamal men hota"
"koi but-khane ko jaata hai koi ka.abe ko phir rahe gabr o musalman hain tiri ghaat men kya"
"vahshat-e-dil ne kiya hai vo bayaban paida saikDon kos nahin surat-e-insan paida"
"ai sanam jis ne tujhe chand si surat di hai usi allah ne mujh ko bhi mohabbat di hai"
"qad men to kar chuka tha vo ahmaq barabari majbur sarv ko tiri raftar ne kiya"