Sher
"aaj ka khat hi use bheja hai kora lekin aaj ka khat hi adhura nahin likhkha main ne"
"tu hansi le ke miri aankh ko aansu de de mujh se sukha hua dariya nahin dekha jaata"
تو ہنسی لے کے مری آنکھ کو آنسو دے دے مجھ سے سوکھا ہوا دریا نہیں دیکھا جاتا
तू हँसी ले के मिरी आँख को आँसू दे दे मुझ से सूखा हुआ दरिया नहीं देखा जाता

"aaj ka khat hi use bheja hai kora lekin aaj ka khat hi adhura nahin likhkha main ne"
"ye jafaon ki saza hai ki tamasha.i hai tu ye vafaon ki saza hai ki pa.e-dar huun main"
"umr hi teri guzar ja.egi un ke hal men tera bachcha jo savalat liye baiTha hai"
"gir na jaa.e tire meyar se andaz-e-huruf yuun kabhi naam bhi tera nahin likhkha main ne"
"ye buzurgon ki rava-dari ke pazh-murda gulab abiyari chahte hain in men chingari na rakh"
"maqam-e-zabt gham-e-ishq men vo paida kar ki tu khushi ko na tarse tujhe khushi tarse"