Sher
"bahut takhir se paaya hai khud ko main apne sabr ka phal ho ga.i huun"
"ye kis ki yaad ki barish men bhigta hai badan ye kaisa phuul sar-e-shakh-e-jan khila hua hai"
یہ کس کی یاد کی بارش میں بھیگتا ہے بدن یہ کیسا پھول سر شاخ جاں کھلا ہوا ہے
ये किस की याद की बारिश में भीगता है बदन ये कैसा फूल सर-ए-शाख़-ए-जाँ खिला हुआ है

"bahut takhir se paaya hai khud ko main apne sabr ka phal ho ga.i huun"
"ta.alluq ki na.i ik rasm ab ijad karna hai na us ko bhulna hai aur na us ko yaad karna hai"
"use bhi zindagi karni paDegi 'mir' jaisi sukhan se gar koi rishta nibhana chahta hai"
"guzar ja.egi saari raat is men mira qissa kahani se baDa hai"
"suna hai khvab mukammal kabhi nahin hote suna hai ishq khata hai so kar ke dekhte hain"
"zikr sunti huun ujale ka bahut us se kahna ki mire ghar aa.e"