Sher
"ham ko miTa sake ye zamane men dam nahin ham se zamana khud hai zamane se ham nahin"
"jise sayyad ne kuchh gul ne kuchh bulbul ne kuchh samjha chaman men kitni mani-khez thi ik khamushi miri"
جسے صیاد نے کچھ گل نے کچھ بلبل نے کچھ سمجھا چمن میں کتنی معنی خیز تھی اک خامشی مری
जिसे सय्याद ने कुछ गुल ने कुछ बुलबुल ने कुछ समझा चमन में कितनी मानी-ख़ेज़ थी इक ख़ामुशी मिरी

"ham ko miTa sake ye zamane men dam nahin ham se zamana khud hai zamane se ham nahin"
"dil men kisi ke raah kiye ja raha huun main kitna hasin gunah kiye ja raha huun main"
"un ka jo farz hai vo ahl-e-siyasat janen mera paigham mohabbat hai jahan tak pahunche"
"apna zamana aap banate hain ahl-e-dil ham vo nahin ki jin ko zamana bana gaya"
"teri ankhon ka kuchh qusur nahin haan mujhi ko kharab hona tha"
"ye ishq nahin asan itna hi samajh liije ik aag ka dariya hai aur Duub ke jaana hai"