Sher
"zindagi shayad isi ka naam hai duriyan majburiyan tanha.iyan"
"thoDa sa aks chand ke paikar men Daal de tu aa ke jaan raat ke manzar men Daal de"
تھوڑا سا عکس چاند کے پیکر میں ڈال دے تو آ کے جان رات کے منظر میں ڈال دے
थोड़ा सा अक्स चाँद के पैकर में डाल दे तू आ के जान रात के मंज़र में डाल दे

"zindagi shayad isi ka naam hai duriyan majburiyan tanha.iyan"
"daagh duniya ne diye zakhm zamane se mile ham ko tohfe ye tumhen dost banane se mile"
"tujhe kaun janta tha miri dosti se pahle tira husn kuchh nahin tha miri sha.iri se pahle"
"tera chehra kitna suhana lagta hai tere aage chand purana lagta hai"
"maan ki aghosh men kal maut ki aghosh men aaj ham ko duniya men ye do vaqt suhane se mile"
"jan-e-bahar tum ne vo kanTe chubho.e hain main har gul-e-shagufta ko chhune se Dar gaya"