Sher
"vo ab kya khaak aa.e haa.e qismat men tarasna tha tujhe ai abr-e-rahmat aaj hi itna barasna tha"
"ham aap ko dekhte the pahle ab aap ki raah dekhte hain"
ہم آپ کو دیکھتے تھے پہلے اب آپ کی راہ دیکھتے ہیں
हम आप को देखते थे पहले अब आप की राह देखते हैं

"vo ab kya khaak aa.e haa.e qismat men tarasna tha tujhe ai abr-e-rahmat aaj hi itna barasna tha"
"sub.h ko khul ja.ega donon men kya yarana hai sham.a parvana ki hai ya sham.a ka parvana hai"
"mohabbat men kya kya na kuchh jaur hoga abhi kya hua hai abhi aur hoga"
"vahi nazar men hai lekin nazar nahin aata samajh raha huun samajh men magar nahin aata"
"raqib donon jahan men zalil kyuun hota kisi ke biich men kam-bakht agar nahin aata"
"aur bhi to hain zamane men tumhare ashiq ek main hi tumhen kya qabil-e-ilzam mila"