Sher
"is qadar main ne sulagte hue ghar dekhe hain ab to chubhne lage ankhon men ujale mujh ko"
"ta.alluq hai na ab tark-e-ta.alluq khuda jaane ye kaisi dushmani hai"
تعلق ہے نہ اب ترک تعلق خدا جانے یہ کیسی دشمنی ہے
तअल्लुक़ है न अब तर्क-ए-तअल्लुक़ ख़ुदा जाने ये कैसी दुश्मनी है

"is qadar main ne sulagte hue ghar dekhe hain ab to chubhne lage ankhon men ujale mujh ko"
"log bhopal ki tarif kiya karte hain is nagar men to tire ghar ke siva kuchh bhi nahin"
"akash ki hasin fazaon men kho gaya main is qadar uDa ki khalaon men kho gaya"
"aap daman ko sitaron se saja.e rakhiye meri qismat men to patthar ke siva kuchh bhi nahin"
"kya tire shahr ke insan hain patthar ki tarah koi naghma koi payal koi jhankar nahin"