Sher
"hami vo ilm ke raushan charagh hain jin ko hava bujhati nahin hai salam karti hai"
"kahan se aa.i thi akhir tiri talab mujh men khuda ne mujh ko banaya to main akela tha"
کہاں سے آئی تھی آخر تری طلب مجھ میں خدا نے مجھ کو بنایا تو میں اکیلا تھا
कहाँ से आई थी आख़िर तिरी तलब मुझ में ख़ुदा ने मुझ को बनाया तो मैं अकेला था

"hami vo ilm ke raushan charagh hain jin ko hava bujhati nahin hai salam karti hai"
"main agar khud ko maar Dalun to kya bachega tiri kahani men"
"hazrat-e-josh ke divan ka jab zikr chale kitni hasrat se hamen urdu zaban dekhti hai"
"dard ki chaah men pahle to kuredun shab-bhar phir usi zakhm ko siine ka maza leta huun"
"miri arzuon ke siip ka kisi ab-e-naisan se mel kar mujhe ashna-e-visal kar miri bekali ko qarar de"
"jis tarah aap ne bimar se rukhsat li hai saaf lagta hai janaze men nahin a.enge"