Sher
"lafzon ke her-pher se banti nahin ghazal sheron men thoDi garmi-e-jazbat bhi to ho"
"aur thoDa sa bikhar ja.un yahi Thani hai zindagi main ne abhi haar kahan maani hai"
اور تھوڑا سا بکھر جاؤں یہی ٹھانی ہے زندگی میں نے ابھی ہار کہاں مانی ہے
और थोड़ा सा बिखर जाऊँ यही ठानी है ज़िंदगी मैं ने अभी हार कहाँ मानी है

"lafzon ke her-pher se banti nahin ghazal sheron men thoDi garmi-e-jazbat bhi to ho"
"bahut udaas hain divaren unche mahlon ki ye vo khanDar hain ki jin men amiir rahte hain"
"ji chahta hai tark-e-mohabbat ko baar baar aata hai ek aisa bhi lamha visal men"
"gham uThata huun ghazal kahta huun jiita rahta huun log kahte hain ki ik din 'mir' ho ja.unga main"
"kaTti hai shab visal ki palken jhapakte hi jis ki sub.h na ho kabhi vo raat bhi to ho"
"garche halka sa dhundlaka hai tasavvur bhi tira band ankhon ko ye manzar bhi bahut lagta hai"