Sher
"bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khud-kushi ka maza ham se puchhiye"
"dushmanon se pyaar hota ja.ega doston ko azmate ja.iye"
دشمنوں سے پیار ہوتا جائے گا دوستوں کو آزماتے جائیے
दुश्मनों से प्यार होता जाएगा दोस्तों को आज़माते जाइए

"bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khud-kushi ka maza ham se puchhiye"
"vahi phir mujhe yaad aane lage hain jinhen bhulne men zamane lage hain"
"suna hai hamen vo bhulane lage hain to kya ham unhen yaad aane lage hain"
"hairat hai tum ko dekh ke masjid men ai 'khumar' kya baat ho ga.i jo khuda yaad aa gaya"
"dusron par agar tabsira kijiye samne aa.ina rakh liya kijiye"
"raat baaqi thi jab vo bichhDe the kaT ga.i umr raat baaqi hai"