Sher
"aaj dariya men ajab shor ajab halchal hai kis ki kashti ne qadam ab-e-ravan par rakkha"
"sab ek dhund liye phir rahe hain ankhon men kisi ke chehre pe maazi na haal dekhta huun"
سب ایک دھند لیے پھر رہے ہیں آنکھوں میں کسی کے چہرے پہ ماضی نہ حال دیکھتا ہوں
सब एक धुँद लिए फिर रहे हैं आँखों में किसी के चेहरे पे माज़ी न हाल देखता हूँ

"aaj dariya men ajab shor ajab halchal hai kis ki kashti ne qadam ab-e-ravan par rakkha"
"khuda ne bakhsha hai kya zarf mom-batti ko pighalte rahna magar saari raat chup rahna"
"azizo aao ab ik al-vida.i jashn kar len ki is ke baa'd ik lamba safar afsos ka hai"
"hava to hai hi mukhalif mujhe Darata hai kya hava se puchh ke koi diye jalata hai kya"
"zindagi men jo tumhen khud se ziyada the aziiz un se milne kya kabhi jaate ho qabristan bhi"
"'talab' baDi hi aziyyat ka kaam hota hai bikharte TuTte rishton ka bojh Dhona bhi"