Sher
"tumhare ishq-e-abru men hilal-e-id ki surat hazaron ungliyan uTThin jidhar se ho ke ham nikle"
K
Kishan Kumaar Waqaar"bahut dinon se huun aamad ka apni chashm-ba-rah tumhara le gaya ai yaar intizar kahan"
بہت دنوں سے ہوں آمد کا اپنی چشم براہ تمہارا لے گیا اے یار انتظار کہاں
बहुत दिनों से हूँ आमद का अपनी चश्म-ब-राह तुम्हारा ले गया ऐ यार इंतिज़ार कहाँ
"tumhare ishq-e-abru men hilal-e-id ki surat hazaron ungliyan uTThin jidhar se ho ke ham nikle"
"main kahun aap tumhen aap kahen tum mujh ko tum jatate nahin kis roz tahakkum mujh ko"
"jo mujh par hai vahi hai ghair par lutf hua hai khatma is par vafa ka"
"husn un ka agar hai sangin-dil ishq apna bhi sakht baazu hai"
"ba-qaid-e-vaqt paDhi main ne panjgana namaz sharab piine men kuchh ehtiyat mujh ko nahin"
"haath pistan pe ghair ka pahuncha aap bhi ab hue anar-farosh"