Sher
"fana ke hosh fana hain hamari vahshat se vo honge aur ki jin par fana ka zor chale"
"dil men miri vahshat ne par jitne nikale the main ne unhen bal de kar zanjir bana.i hai"
دل میں مری وحشت نے پر جتنے نکالے تھے میں نے انہیں بل دے کر زنجیر بنائی ہے
दिल में मिरी वहशत ने पर जितने निकाले थे मैं ने उन्हें बल दे कर ज़ंजीर बनाई है

"fana ke hosh fana hain hamari vahshat se vo honge aur ki jin par fana ka zor chale"
"basti men bhi kuchh aise andhere hain jahan par jhulse hue jismon ka shabistan hain saDken"
"aap jo chashm-tar ho ga.e saare gham mo'atabar ho ga.e"
"ye arsh se aana to aghaz-e-mohabbat tha ab farsh pe aa.e hain anjam se khelenge"
"raushan hai darakhshan hai har ashk gharibon ka bas in ki badaulat hi har ghar men divali hai"
"maqam-e-admi kuchh kam nahin hai farishton se to kam aadam nahin hai"