Sher
"jab se us ne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua apna kya hai saare shahr ka ik jaisa nuqsan hua"
"sirf hathon ko na dekho kabhi ankhen bhi paDho kuchh savali baDe khuddar hua karte hain"
صرف ہاتھوں کو نہ دیکھو کبھی آنکھیں بھی پڑھو کچھ سوالی بڑے خوددار ہوا کرتے ہیں
सिर्फ़ हाथों को न देखो कभी आँखें भी पढ़ो कुछ सवाली बड़े ख़ुद्दार हुआ करते हैं

"jab se us ne shahr ko chhoDa har rasta sunsan hua apna kya hai saare shahr ka ik jaisa nuqsan hua"
"zikr-e-shab-e-firaq se vahshat use bhi thi meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi"
"vo mujh se baDh ke zabt ka aadi tha ji gaya varna har ek saans qayamat use bhi thi"
"is shaan se lauTe hain ganva kar dil-o-jan ham is taur to haare hue lashkar nahin aate"
"palaT ke aa ga.i kheme ki samt pyaas miri phaTe hue the sabhi badalon ke mashkize"
"vo aksar din men bachchon ko sula deti hai is Dar se gali men phir khilaune bechne vaala na aa jaa.e"