Sher
"mukhtasar ye hai hamari dastan-e-zindagi ik sukun-e-dil ki khatir umr bhar taDpa kiye"
"zabt-e-gham be-sabab nahin 'jazbi' khalish-e-dil baDha raha huun main"
ضبط غم بے سبب نہیں جذبیؔ خلش دل بڑھا رہا ہوں میں
ज़ब्त-ए-ग़म बे-सबब नहीं 'जज़्बी' ख़लिश-ए-दिल बढ़ा रहा हूँ मैं

"mukhtasar ye hai hamari dastan-e-zindagi ik sukun-e-dil ki khatir umr bhar taDpa kiye"
"jab tujh ko tamanna meri thi tab mujh ko tamanna teri thi ab tujh ko tamanna ghair ki hai to teri tamanna kaun kare"
"jab mohabbat ka naam sunta huun haa.e kitna malal hota hai"
"jo aag laga.i thi tum ne us ko to bujhaya ashkon ne jo ashkon ne bhaDka.i hai us aag ko ThanDa kaun kare"
"us ne is tarah mohabbat ki nigahen Dalin ham se duniya ka koi raaz chhupaya na gaya"
"jab kashti sabit-o-salim thi sahil ki tamanna kis ko thi ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare"