Sher
"abhi zinda hai maan meri mujhe kuchh bhi nahin hoga main ghar se jab nikalta huun dua bhi saath chalti hai"
"is tarah mere gunahon ko vo dho deti hai maan bahut ghusse men hoti hai to ro deti hai"
اس طرح میرے گناہوں کو وہ دھو دیتی ہے ماں بہت غصے میں ہوتی ہے تو رو دیتی ہے
इस तरह मेरे गुनाहों को वो धो देती है माँ बहुत ग़ुस्से में होती है तो रो देती है

"abhi zinda hai maan meri mujhe kuchh bhi nahin hoga main ghar se jab nikalta huun dua bhi saath chalti hai"
"tumhari ankhon ki tauhin hai zara socho tumhara chahne vaala sharab piita hai"
"kal apne-ap ko dekha tha maan ki ankhon men ye a.ina hamen buDha nahin batata hai"
"kuchh bikhri hui yadon ke qisse bhi bahut the kuchh us ne bhi balon ko khula chhoD diya tha"
"tumhen bhi niind si aane lagi hai thak ga.e ham bhi chalo ham aaj ye qissa adhura chhoD dete hain"
"chalti phirti hui a.ankhon se azaan dekhi hai main ne jannat to nahin dekhi hai maan dekhi hai"