Sher
"bichhaDte vaqt un ankhon men thi hamari ghazal ghazal bhi vo jo kisi ko abhi suna.i na thi"
"vo ham-safar tha magar us se ham-nava.i na thi ki dhuup chhanv ka aalam raha juda.i na thi"
وہ ہم سفر تھا مگر اس سے ہم نوائی نہ تھی کہ دھوپ چھاؤں کا عالم رہا جدائی نہ تھی
वो हम-सफ़र था मगर उस से हम-नवाई न थी कि धूप छाँव का आलम रहा जुदाई न थी

"bichhaDte vaqt un ankhon men thi hamari ghazal ghazal bhi vo jo kisi ko abhi suna.i na thi"
"is kaDi dhuup men saaya kar ke tu kahan hai mujhe tanha kar ke"
"aaj ki raat ujale mire ham-saya hain aaj ki raat jo so luun to naya ho ja.un"
"tujhe kya khabar mire be-khabar mira silsila koi aur hai jo mujhi ko mujh se baham kare vo gurez-pa koi aur hai"
"kahne ko gham-e-hijr baDa dushman-e-jan hai par dost bhi is dost se behtar nahin milta"
"kuchh roz nasir aao chalo ghar men raha jaa.e logon ko ye shikva hai ki ghar par nahin milta"