Sher
"ab tak hamari umr ka bachpan nahin gaya ghar se chale the jeb ke paise gira diye"
"miri qimat ko sunte hain to gahak lauT jaate hain bahut kamyab ho jo shai vo hoti hai giran aksar"
مری قیمت کو سنتے ہیں تو گاہک لوٹ جاتے ہیں بہت کمیاب ہو جو شے وہ ہوتی ہے گراں اکثر
मिरी क़ीमत को सुनते हैं तो गाहक लौट जाते हैं बहुत कमयाब हो जो शय वो होती है गिराँ अक्सर

"ab tak hamari umr ka bachpan nahin gaya ghar se chale the jeb ke paise gira diye"
"bichhaD kar us se sikha hai tasavvur ko badan karna akele men use chhuna akele men sukhan karna"
"pursish-e-hal se gham aur na baDh jaa.e kahin ham ne is Dar se kabhi haal na puchha apna"
"main ghar basa ke samundar ke biich soya tha uTha to aag ki lapTon men tha makan mira"
"dhamak kahin ho larazti hain khiDkiyan meri ghaTa kahin ho Tapakta hai sa.eban mira"
"din nikalna tha ki saare shahr men bhagdaD machi anginat khvabon ke chehre bhiiD men gum ho ga.e"