Quote
"bolte rahte hain nuqush us ke phir bhi vo shakhs kam-sukhan hai bahut"
"bhuul jaane ka mujhe mashvara dene vaale yaad khud ko bhi na main aa.uun kuchh aisa kar de"
بھول جانے کا مجھے مشورہ دینے والے یاد خود کو بھی نہ میں آؤں کچھ ایسا کر دے
भूल जाने का मुझे मशवरा देने वाले याद ख़ुद को भी न मैं आऊँ कुछ ऐसा कर दे

"bolte rahte hain nuqush us ke phir bhi vo shakhs kam-sukhan hai bahut"
"vo andhi raah men bina.iyan bichhata raha badan pe zakhm liye aur labon pe diin liye"
"raat ke lamhat khuni dastan likhte rahe sub.h ke akhbar men halat behtar ho ga.e"
"qanun jaise kho chuka sadiyon ka e'timad ab kaun dekhta hai khata ka hai rukh kidhar"
"vo gulabi badalon men ek niili jhiil si hosh qaa.em kaise rahte tha hi kuchh aisa libas"
"kuchh ehtiyat parinde bhi rakhna bhuul ga.e kuchh intiqam bhi andhi ne badtarin liye"