Sher
"ye sehn-e-gulistan nahin maqtal hai rafiqo! har shakh hai talvar yahan, jagte rahna"
"bahti nahin hai mard ki a.ankhon se ju-e-ashk lekin hamen batao ki ham kis liye hansen"
بہتی نہیں ہے مرد کی آنکھوں سے جوئے اشک لیکن ہمیں بتاؤ کہ ہم کس لئے ہنسیں
बहती नहीं है मर्द की आँखों से जू-ए-अश्क लेकिन हमें बताओ कि हम किस लिए हँसें

"ye sehn-e-gulistan nahin maqtal hai rafiqo! har shakh hai talvar yahan, jagte rahna"
"un makanon men bhi insan hi rahte honge raunaqen jin men nahin aap ki mahfil ki si"
"shayad kisi ki yaad ka mausam phir aa gaya pahlu men dil ki tarah dhaDakne lagi hai shaam"
"kuchh dard ke maare hain kuchh naaz ke hain paale kuchh log hain ham jaise kuchh log hain tum jaise"
"sab mastiyon men phenko na patthar idhar udhar divano! is dayar men shishe ke ghar bhi hain"
"paivand ki tarah nazar aata hai bad-numa pukhta makan kachche gharon ke hujum men"