Sher
"main ek khana-ba-dosh huun jis ka ghar hai duniya so apne kandhe pe le ke ye ghar bhaTak raha huun"
"shahr-e-jan men vabaon ka ik daur tha main ada-e-tanaffus men kamzor tha zindagi phir miri yuun bacha.i ga.i meri shah-rag haTa di ga.i ya akhi"
شہر جاں میں وباؤں کا اک دور تھا میں ادائے تنفس میں کمزور تھا زندگی پھر مری یوں بچائی گئی میری شہ رگ ہٹا دی گئی یا اخی
शहर-ए-जाँ में वबाओं का इक दौर था मैं अदा-ए-तनफ़्फ़ुस में कमज़ोर था ज़िंदगी फिर मिरी यूँ बचाई गई मेरी शह-रग हटा दी गई या अख़ी

"main ek khana-ba-dosh huun jis ka ghar hai duniya so apne kandhe pe le ke ye ghar bhaTak raha huun"
"ye tai hua tha ki khuub ro.enge jab milenge ab us ke shane pe sar hai to hanste ja rahe hain"
"ye jism tang hai siine men bhi lahu kam hai dil ab vo phuul hai jis men ki rang-o-bu kam hai"
"main apni maut se khalvat men milna chahta huun so meri naav men bas main huun nakhuda nahin hai"
"vo nasha hai ke zaban aql se karti hai fareb tu miri baat ke mafhum pe jaata hai kahan"
"tamam hosh zabt ilm maslahat ke baa'd bhi phir ik khata main kar gaya tha ma.azarat ke baa'd bhi"