Sher
"kuchh to tire mausam hi mujhe raas kam aa.e aur kuchh miri miTTi men baghavat bhi bahut thi"
"ham to samjhe the ki ik zakhm hai bhar ja.ega kya khabar thi ki rag-e-jan men utar ja.ega"
ہم تو سمجھے تھے کہ اک زخم ہے بھر جائے گا کیا خبر تھی کہ رگ جاں میں اتر جائے گا
हम तो समझे थे कि इक ज़ख़्म है भर जाएगा क्या ख़बर थी कि रग-ए-जाँ में उतर जाएगा

"kuchh to tire mausam hi mujhe raas kam aa.e aur kuchh miri miTTi men baghavat bhi bahut thi"
"vo na aa.ega hamen ma.alum tha is shaam bhi intizar us ka magar kuchh soch kar karte rahe"
"vo mujh ko chhoD ke jis aadmi ke paas gaya barabari ka bhi hota to sabr aa jaata"
"chalne ka hausla nahin rukna muhal kar diya ishq ke is safar ne to mujh ko niDhal kar diya"
"ab to is raah se vo shakhs guzarta bhi nahin ab kis ummid pe darvaze se jhanke koi"
"meri talab tha ek shakhs vo jo nahin mila to phir haath dua se yuun gira bhuul gaya saval bhi"