Sher
"gar aap pahle rishta-e-ulfat na toDte mar miT ke ham bhi khair nibhate kisi tarah"
"makhluq ko tumhari mohabbat men ai buto iman ka khayal na islam ka lihaz"
مخلوق کو تمہاری محبت میں اے بتو ایمان کا خیال نہ اسلام کا لحاظ
मख़्लूक़ को तुम्हारी मोहब्बत में ऐ बुतो ईमान का ख़याल न इस्लाम का लिहाज़

"gar aap pahle rishta-e-ulfat na toDte mar miT ke ham bhi khair nibhate kisi tarah"
"kabhi na ja.ega ashiq se dekh-bhal ka rog pilao laakh use bad-maza dava-e-firaq"
"abdida ho ke vo aapas men kahna alvida.a us ki kam meri siva avaz bharra.i hui"
"diye ja.enge kab tak shaikh-sahib kufr ke fatve rahengi un ke sanduqcha men diin ki kunjiyan kab tak"
"nikle hain ghar se dekhne ko log mah-e-id aur dekhte hain abru-e-khamdar ki taraf"
"zahid sambhal ghurur khuda ko nahin pasand farsh-e-zamin pe paanv dimagh asman par"