Sher
"dair o kaaba se jo ho kar guzre dost ki rahguzar yaad aa.i"
"jis qadar jazb-e-mohabbat ka asar hota gaya ishq khud tark o talab se be-khabar hota gaya"
جس قدر جذب محبت کا اثر ہوتا گیا عشق خود ترک و طلب سے بے خبر ہوتا گیا
जिस क़दर जज़्ब-ए-मोहब्बत का असर होता गया इश्क़ ख़ुद तर्क ओ तलब से बे-ख़बर होता गया

"dair o kaaba se jo ho kar guzre dost ki rahguzar yaad aa.i"
"manzilon ke nishan nahin milte tum agar na-gahan nahin milte"
"kisi ki raah men kanTe kisi ki raah men phuul hamari raah men tufan hai dekhiye kya ho"
"gham ki tauhin na kar gham ki shikayat kar ke dil rahe ya na rahe azmat-e-gham rahne de"
"yuun na milne ke sau bahane hain milne vaale kahan nahin milte"
"muddaton baad jo is raah se guzra huun 'qamar' ahd-e-rafta ko bahut yaad kiya hai main ne"