Sher
"mera bhi ek baap tha achchha sa ek baap vo jis jagah pahunch ke mara tha vahin huun main"
"dhuup musafir chhanv musafir aa.e koi koi jaa.e ghar men baiTha soch raha huun angan hai ya rasta hai"
دھوپ مسافر چھاؤں مسافر آئے کوئی کوئی جائے گھر میں بیٹھا سوچ رہا ہوں آنگن ہے یا رستہ ہے
धूप मुसाफ़िर छाँव मुसाफ़िर आए कोई कोई जाए घर में बैठा सोच रहा हूँ आँगन है या रस्ता है

"mera bhi ek baap tha achchha sa ek baap vo jis jagah pahunch ke mara tha vahin huun main"
"main ne kitne raste badle lekin har raste men 'farogh' ek andhera saath raha hai raushniyon ke hujum liye"
"lakhon hi baar bujh ke jala dard ka diya so ek baar aur bujha phir jala nahin"
"log nazuk the aur ehsas ke virane tak vo guzarte hue ankhon ki jalan se aa.e"
"ru-e-zamin pe chaar arab mere aks hain in men se main bhi ek huun chahe kahin huun main"
"husn ko husn banane men mira haath bhi hai aap mujh ko nazar-andaz nahin kar sakte"